इंतज़ार शायरी इन हिंदी इंग्लिश उर्दू | Intezaar Shayari in Hindi English Urdu
Intezaar Shayari |
Dil Ye Hamara Bekarar Ho Raha Hai,
Lagta Hai Hume Aapse Pyar Ho Raha
Hai,
Aap Aa Jaiye Yaha Jaldi Se,
Aapka Besabri Se Intezaar Ho
Raha Hai.
Mohobbat ka imtihan aasan nahi,
Pyaar sirf paane ka to naam nahi,
Muddate beet jati hai kisi ke intezaar mein,
Ye sirf
pal-do-pal ka kaam nahi.
Husn walo hume aise staya na karo,
mohabbat ki shama pal-bhar mein
bujhaya na karo,
intezaar ki ye ghadiya kayamat-si lagti h,
n
aana ho to hume akele mein bulaya na karo.
Tere intezaar mein palke bichaye baithe hai,
wo aayenge esiliye
ummid jagaye baithe hai,
na todna kabhi milne ka waada mujhse,
ki hum ab to apni jaan ki bazi lagaye baithe hai.
Wo Paas Aate To Ham Baat Kar Lete,
Wo Sath Rehte To Ham Pyaar Kar
Lete,
Kya Majburiya Thi Jo chale gaye door,
Wajah To Btate Ham
Intezaar Kar Lete.
Khwabo mein jeena jab aadat ban jaati hai,
Haqikat ki duniya berang
nazar aati hai,
Koi intezaar karta hai zindagi ke liye,
Aur
kisi ki zindagi intezaar mein guzar jati hai.
Toot gaya hai dil par armaan wahi hai,
Door rehte hai phir bhi pyaar
wahi hai,
Jante hai hum ki Tum mil nahi sakte,
Magar in
aankhon me intezaar wahi hai.
Hum apne aap mein yu gum hue hai muddat se,
hame to jaise kisi ka
bhi intezaar nahi,
kisi ko toot kar chahae ya chah kar tooten,
hamare paas to itna bhi ikhtiyaar nahi.
Yu palke bicha ke tera intezaar karte hai,
Bas ye gunah hi hai jo
hum baar baar karte hai,
hasrat ki raah pe jala kar chirag,
Hum subh aur sham tera intezaar karte hai.
Dil mere seene se chura raha hai koi,
Dur hokar bhi yaad aa raha hai
koi,
Aye khuda mujhe usse ek bar mila de,
Intezaar mere liye
kar raha hai koi.
Aaj Ujhaloon Mein Ek Kami Si Rehne De,
Aankhoon Mein Ek Katra Nammi
Si Rehne De,
Reh Na Jaaye Mohabbat Adhuri Meri,
Intezaar Hai
Uska Intezaar Hi Rehne De.
Tum mile har khushi mil gayi hai hame,
Lagta hai ki dusri zindagi
mil gayi hai hame.
Zindagi me Jiska tha saalo se intezaar hame,
Jeevan ka saathi bina maange mil gaya hame.
Aa laut ke aaja, tumhe khuda ka wasta,
meri kushiya mujhe de ja,
tumhe khuda ka wasta,
ik zamane se tere intezaar mein tadpata raha
hu,
tanha nahi kata kabhi jawani ka rasta.
Nazar chahti hai jee bhar deedar karna,
dil chahta hai jee bhar ke
pyar karna,
kya batayein is dil ka aalam ab hum,
naseeb mein
likha hai beinteha intezaar karna.
Kuch nasha teri baat ka hain,
Kuch nasha dhimi barsaat ka hain,
Hum to kabse nashe me doob jaane ko tayaar hain,
Intezaar to
sirf aapki mulaqat ka hain.
Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyun hain,
Inkaar karne par chahat ka
ikraar kyun hain,
Use paana nahi meri taqdeer me shayad,
Phir
har mod pe usi ka mujhe intezaar kyun hain.
Bewafa hai duniya kisi ka aitbaar na karo,
Har pal dete hai dhoka
kisi se pyar na karo,
Mit jao beshaq tanha jee kar,
Par kisi
ke sath ka intezaar na karo.
Ek Ajnabi Se Mujhe Itna Pyar Kyun Hain,
Inkar Karne Par Bhi Chahat
Ka Ikarar Kyun Hain,
Use Pana Nahi Hai Meri Taqdeer Mein Shayad ,
Phir Bhi Har Mod Pe Usika Intezaar Kyu Hain.
Honth nahi keh sakte jo afsana dil ka,
Shayad nazar se wo baat ho
jaye,
Iss umeed se karte hai intezaar raat ka ki,
Shayad sapno
me mulaqat ho jaye.
Kab unki palko mein intezaar hoga,
dil ke kisi kone mein humare liye
pyar hoga,
gujar rahi hai raat unki yaad mein,
kabhi to unko
bhi humara intezaar hoga.
Tadap ke dekho kisi ki chahat mein,
to pata chale ki intezaar kya
hota hai,
yu hi mil jaaye koi bina chahe,
to kaise pata chale
ke pyaar kya hota hai.
Toot Rahi Hai Saanse Magar Intezaar Abhi Baki Hai,
Aane Se Pehle
Jayenge Nahi Ye Aas Abhi Baki Hai,
Dekhna Hai Kab Aate Hai Wo
Aakhiri Waqt Mein,
mujhe Kehni Hai Unse jo Dil Ki Baat Abhi Baki
Hai.
Iss had tak hame sataya mat karo,
jaan bhooj kar bhoolaya mat karo,
jo hum kar de ek sms tumhe,
Phir hame sms ka intezaar karwaya
mat karo.
Tumhari yaadon ki mehak in hawao mein hai,
Pyaar hi Pyaar bikhra in
fizao mein hai,
aisa na ho ki duriya dard ban jaaye,
ab to
aapke msg ka intezaar nigahon mein hai.
Har roz hota hai tarruf mera teri yaadon se,
Chalakta hai noor tera
meri aankhon se,
Tadap raha hoon main aur ab ye alam hai,
Aur
intezaar nahi hota ab meri saanso se.
Meri tanhai tumhe awaaj de rahi hai,
dil ki dhadkan tumhe awaaz de
rahi hai,
aa bhi ja ki bahut intezaar kiya maine,
ye shok fiza
tumhe awaaj de rahi hai.
Nazro se jab nazar ka takrar hota hai,
har mod par kisi ka intezaar
hota hai,
dil rota hai zakham haste hai,
shayad isi ka naam to
pyar hota hai.
Mar kar bhi tadapti hu tere intezaar mein,
Aag lag gayi hai mere is
dil-e-bekraar mein,
Milne ka maza hai jo intezaar mein,
Dard
ubharta hai kadam rakhte hi pyar mein.
Yu palke bicha ke tera intezaar karte hai,
Ye wo gunah hai jo hum
baar baar karte hai,
Jalakar hasrat ki raah pe chirag,
Hum
subah aur sham tera intezaar karte hai.
zakhm itna gehra hai izhaar kya kare,
hum khud nishana ban gaye waar
kya kare,
soo gaye hum magar khuli rahi aankhen,
iss se zyada
hum unka intezaar kya kare.
Fhasle mita kar aa-pas mein pyaar rakhna,
dosti ka ye rishta hamesha
barkaraar rakhna,
bichhad jaaye beshaq kabhi aapse hum,
aankhon mein hamesha hamara intezaar rakhna.
Har Shaam Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai,
Har Khawab Mein Tera Deedar
Kiya Karte Hai,
Deewane Hi To Hai Ham Tere,
Jo Har Waqt Tere
Milne Ka Inetzaar Kiya Karte Hai.
Jaam tutne ka bahana na kiya kar,
Ham to teri aankho se pee lenge,
Tu mat aa lekin aane ka waada to kar,
Ham tere intezaar mein
hi jee lenge.
Kya Karunga Uska Intezaar Karke,
Jab Chali Gayi Wo Mujhe Barbaad
Karke,
Socha Tha Apna Bhi yaha Ek Jaha Hoga,
Magar Mili Sirf
Tanhai Usse Pyar Karke.
Zindagi khoobsurat Hai Isse Pyaar Karo,
Har Raat Ki Nayi Subha Ka
Intezaar Karo,
Wo Pal Bhi Aayega Jiska Intezaar aapko Hai,
Bas
Rab Par Bharosa Aur Waqt par Aitbaar Karo.
Wo Paas hote To Hum Baat Kar Lete,
Wo Saath Rehte To Hum Pyar Kar
Lete,
Kya Majburi Thi unki Jo Wo Door Chale Gaye,
Wajah jo
Btate to Hum Intezaar Kar Lete.
Uss Ajnabi Ka Yoon Intezaar Na Karo,
Uss Ashiq Dil Ka Aitbaar Na
Karo,
Roz Nikla Kare Kisi Ki Yaad Me Aansu,
Itna Kabhi Kisi Se
Pyar Na Karo.
Samne na ho to tarasti hai aankhen,
Yaad mein teri barasti hai
aankhen,
Mere liye nahi inke liye hi aa jao,
Aap ka Hi
intezaar karti hai aankhe.
Aasmaan ke taare aksar pucha karte hai,
kya tumhe ab bhi intezaar
hai uske laut aane ka,
aur dil muskura ke kehta hai,
mujhe to
ab bhi yakeen nahi uske jaane ka.
Aasmaan ke taare aksar pucha karte hai,
kiya tumhe ab bhi intezaar
hain uske laut aane ka,
aur mera dil bhi muskura ke kehta hai,
mujhe to ab bhi yakeen nahi uske jaane ka.
Chal ham tera intezaar karte hai,
Bata to ja tu ayega kab tak,
Mere lafzo ki bas kadar karna,
Mai yuhi teri yadon m rahunga
Zindgi bhar.
Najro se najro ka takraav hota hai,
Har mod par kisi ka intezaar
hota hai,
Dil rota hai aur jakhm haste hai,
Shayad Isi ka naam
pyaar hota hai.
Kitne Din Beet gaye na hua Deedar tera,
Ab to harpal mujhko hai
intezaar tera,
Shukr hai jo har tasveer me nazar wo aaye,
Ab
to tasveero se bhi jhalake hai pyar tera.
roj aate hai chand sitare magar,
koi khushi ka paigam nahi aata,
hame to intezaar hai jinke sms ka par,
unhe hamara khayal hi
nahi aata.
Kya bataye Pyar kaisa hota hai,
Kabhi karar to kabhi bekrar hota
hai,
Ajeb halchal hoti hai us waqt Dil me,
Jab kisi ko kisi ka
intezar hota hai.
Ek dard thi unki aankhon me mere bagair,
ek aah thi unki jubaan me
mere bagair.
Ro rahe the mere intezaar me wo iss kadar,
ki ek
Roti Si Aahe thi unki awaaj me mere bagair.
Kabhi – kabhi khyalo mein tera intezaar karte hai,
yu hi mere dosto,
hum khija se bahar bharte hai,
sham hote hi ik tadap si bhar jati
hai dil mein,
apni tanhaiyo se sanam hum bahut pyar karte hai,
Udas Aankhon Mein Sabar Dekha Hain,
Pehli Bar Use Itna Khush Aur
Beqarar Dekha Hain,
Jise faraq Na padta Tha Mere Aane Jane se,
Uski Ankhon Mein hi Ab maine Intezaar Dekha Hain.
Sukhe patton se pyaar kar lenge,
Hum to tum par aitbaar kar lenge,
Tum ye to kaho, tum humare ho sanam,
Hum zindagi bhar intezaar
kar lenge.
intezaar ki aarzu ab kho gayi hai,
Khamoshiyo ki aadat ho gayi hai,
Na sikwa raha na shikayt kisi se,
Agar hai to ek mohabbat,
jo in tanhayion se ho gayi hai.
Dil mein intezaar ki lakeer chod jayenge,
Aankho mein yaado ki nami
chod jayenge,
Dhundte firoge hum ek din,
zindagi mein ek yaar
ki kami chod jayenge.
Ghar chuta, gaon chuta aur chut gaya hai pyar bhi,
rab rutha, sansar
rutha aur ruth gaya hai pyar bhi,
dil mera toda usne , ye bhi koi
baat nahi,
yaaro, dil mein dard hai mujhko to hai intezaar abhi bhi.
Post a Comment