Lovely Shayari in Hindi | लव Shayari इन हिंदी | हिंदी लवली शायरी | रोमांटिक लव शायरी
Lovely Shayari in Hindi |
Kisi ko aankho ki palkon par na baithne do,
Waha to sirf sapne basa
karte hain,
Bithana hai to bithao dil mein usko,
Kyunki yaha
sirf or sirf apne basa karte hain.
Sehami si nigaho mein hum khawab jaga denge,
aapki Suni si raaho
mein hum phool bicha denge,
Humare sang muskura kar toh dekhiye
jara,
Hum aapka har gham chutkiyo mein bhula denge.
Tum dil se hame yu pukara na karo,
Yu tum hame mehfil mein ishara na
karo,
Door hai tumse ye majburi hai hamari,
Tum tanhaiyon mein
yu tadpaya na karo.
Kya mangu khuda se tumhe paane ke baad,
Kiska karu intezaar zindagi
main tere aane ke baad,
Kyu pyar mein jaan luta dete hai log,
Mujhe maloom hua tumhe apna banane ke baad.
Wafa Na Kar Paun To Naraz Mat Hona,
Dil se Utar Jaun To Naraz Mat
Hona,
Pyar Mera Sacha Hai Ek Din Dikhaunga,
bas tum kabhi
mujhse naraz mat hona.
Sanso Ki Mehak Ho Ya Chehre Ka Noor,
Chahte Hu jo Aapko To Isme mera
Kya Kasoor,
Khuda Se jo mile to Ek Din Hum Puchenge Zaroor,
Ki
Chand Se Kyu Hai iss kadar Uski Chandni Door.
Mante Hai Hum Har Baat Kehni Zaruri Nahi Hoti,
Lekin Har Baat Ankhon
Se bhi Poori Nahi Hoti,
Dil Kahe To Raaz Khol Du Kyun Ki kabhi bhi,
izhaar Ke Bina Mohabbat Poori Nahi Hoti.
Kyun kisi se itna pyaar ho jata hai,
ek din jeena bhi dushwaar ho
jata hai,
Lagne lagte hai apne bhi paraye,
aur ek ajnabi par
itna aitbaar ho jata hai.
Rishto ki yeh Duniya hai nirali,
Sab Rishto se Pyari hai dosti
tumhari,
Manzoor hai Aansu bhi Ankhoon main hamare,
Agar aa
jaaye Muskaan inse hontho pe tumhare.
Har rasta ek safar chahta hai,
Har musafir ek hamsafar chahta hai,
Jaise chahti hai Chandni Chand ko,
Koi hai jo tumhe is kadar
chahta hai.
Hawa bankar aapki sanso mein Aayenge,
Khwab bankar Aapki neendo mein
Aayenge,
Aap bhale hi dil se nikal do hume,
hum hasi bankar
Aapke hotho pe Aayenge.
Rone bhi Nahi Dete aur Hasne bhi Nahi Dete,
Jeene bhi Nahi Dete aur
Marne Bhi Nahi Dete,
Kehte Hai Wo Gairo Ko aane Na do Khyalo Mein,
Aur Khud Apne Khyalo Mein mujhe Khone Bhi Nahi Dete.
Toofan mein kashti ko kinare bhi mil jaate hai,
Jaha mein logo’n ko
sahare bhi mil jaate hai,
Duniya mein sabse pyari hai zindagi apni,
Kuch log zindagi se pyare be mil jate hai.
Khuda Bina Jaane Kaise Rishte Bana Deta Hai,
Anjano Ko Dil Mein yuhi
Basa Deta Hai,
Jinko Hum Kabhi Jante Bhi Na The zindagi mein,
Unhe Jaan Se Bhi Jyada pyara Bana Deta Hai.
Jaati nahi aankhon se surat aapki,
Jaati nahi dil se mohabbat aapki,
Mehsus ye hota hai, ab jeene ke liye,
Pehle se jyada jarurat
hai aapki.
Khayal mein aata hai jab uska chehra,
to labon pe aksar faryaad aati
hai,
Hum bhool jaate hai uske saare sitam,
jab uski thori si
mohabbat yaad aati hai.
Har phool apni mehak ko kinara deta hai,
uss aasman ko to yeh jahan
bhi sahara deta hai,
phir kyon mujhse se door chal gayi tum,
ye dil ab bhi raato ko tumhara naam leta hai.
Ek Tu Hi Hai Jo mere dil Ke karib hai,
Teri pyar hi mera sacha
naseeb hai,
Haare hai hum ab tak apni zindagi mein,
Tera hona
hi bas iss zindagi ki Jeet hai.
Tujhe Dil Se Juda Kabhi Hone Nahi Denge,
Tujhe Neend Bhi Aaye To
Sone Nahi Denge,
Tera Pyar Hume Itna Pyara Hai Ki,
Hum Mar Bhi
Gaye To Tujhe Rone Nahi Denge.
Kehte Hai Har Baat Sab Ko Batayi Nahi Jaati,
Apno Ko Bhi Sunayi Nahi
Jaati,
Par Sanam Tum Mere Dil Ka Aaina Ho,
Aur Aaine Se Koi
Baat kabhi Chupayi Nahi Jaati.
Jiski Stupid Baate Bhi Lagti Ho naughty,
har jhuth bhi lagta hai
jiska saccha,
Jiske Sath Ladte Hue Bhi aa Jaye smile,
Use
Kehte Hai true love in life style.
Basa Hai Aankho Mein Unka Chehra Is Tarah,
Gulabo Mein Khushbu Basi
Ho Jis Tarah,
ibadat ki Ho Aur Dua Na Mangi Ho,
Unki Kami
khalti Hai mujhe Kuch Is Tarah.
Zindagi Ke Har pal Mein Unhi Ko Paate Hai,
Bhul Jaaye Khud Ko Par
Unhe Nahi Bhulate Hai,
Jaane Kya Baat Hai Unme Aye mere Khuda,
Jitna door hote hai, wo utna kareeb Aate Hai.
Tamannao Se Bhari Ho Zindagi,
Khwahisho Se Bahra Ho Har Pal,
Daman Bhi Chota Lagne Lage,
Itni Khushiyan De Apko Aane Wala
Kal.
Meri Guftagu Ke Har Andaaz Ko Samjhta Hai,
Ek Wo hi Hai Jo Mujh pe
eitmaad Rakhta Hai,
Door Hoke Bhi Mujhse Hai Wo Itna Kareeb,
Aisa Lagta Hai Mere Aas-Pass Rehta Hai.
Kuch rahe na rahe teri mohabbat ka sahara rahe,
Pyar main dooba,
hamesha ye dil hamara rahe,
Khushian teri, saare ghum mere ho dua
yahi hai,
Ankhoon mein sada chehra tumhara rahe.
Kismat mein sanam ka deedar bhi nahi,
Aur sanam ko paane ki hasrat
rakhte hai hum.
Ek tere aane ki umeed hi to hai dil mein,
Jiske sahare ek arse se jiye jaa rahe hai hum.
Mana hum haalaat se majbur rehte hai,
Phir bhi tere khayalon me chur
rehte hai,
Aakhon mein rehti hai tasveer tumhari,
Kya hua jo
hum tumse door-door rehte hai.
Humne socha sirf hum chahte hai tumko,
Par tumhe chahane wala ka to
kafila nikla,
Dil ne kaha, karu shikayat teri khuda se,
Par
khuda bhi tumarah chahne wala nikla.
humare aasnu poch kar wo muskurate hai,
aisi ada se wo dil ko
churate hai,
hath unka chu jaaye humare chehre ko,
isi ummed
mein hum khud ko rulate hai.
dil lagane wale lakho milenge,
pyar karne wale hazaro milenge,
milne wale har roj milenge,
par yaad krne wale hum jaisa kahi
nahi milenge.
iss nacheez dil ki gustaaki to dekho,
chala hai chand se ishq ka
izhaar karne,
jiski roshni se roshan hai puri duniya,
usi ko
chala hai pyar ki roshni dene.
Na Jaane Kab Wo Rishta Ban Gaya,
Koi Anjana Jaane Kab Apna Ban Gaya,
Hame Ehsaas Bhi Na Hua Aur,
Koi Humari Zindagi Ki Zarurat Ban
Gaya.
Na jaane kyu wo mujhe muskara ke milta hai,
Andar ke saare gham
chupa ke milta hai,
Janta hai aankhein sach bolti hai,
Shayad
isliye ankhein jhuka ke milta hai.
Mere Pyaar Ki Wo Inteha Puchte Hai,
Dil Mein Hai Kitni Jagah Puchte
Hai,
Chahte Hai, Hum Unko Khud Se Bhi Jyada,
Iss Chahat Ki Bhi
Wo Wajha Puchte Hai.
khuli hai zulfe nazar hatau kaise,
roshan chehre se nazar churau
kaise,
tum se mohabat hai mujhe iss kadar,
ki ab main khud ko
hi khuda se mangu kaise.
Hoti nahi mohabbat nazre milane se,
qayamat aati nahi shama ke bhuj
jane se,
yu to dil ka dil se milna hota hai,
ye nahi milti
aise hi kise par haq jatane se.
Muddat se thi kisi se milne ki Aarzu,
Khwaish-e-Didar me sab kuch
gawa diya,
Kisi ne di khabar weh aayenge raat ko,
Itna kiya
ujala ki Ghar tak Jala Diya.
Nam-e-Mohabbat Se Khushbu-e-Wafa Aati Hai,
Mere Dil Se Teri Dhadkan
Ki Sada Aati Hai,
Jab Bhi Karte Ho Yaad Hume Dil Se,
Yu Lagta
Hai Jaise Jannat Se Hawa Aati Hai.
Hum phool nahi par mehakna jante hai,
Bin roye gam ko bhulana jante
hai,
Log khush hote hai humse,
kyunki bina mile hi hum rishte
nibhana jante hai.
Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah,
teri zindagi mein
khushiyon ki roshni ke liye.
Seh jaate hai har chubhan apne pairo
tale,
teri raaho mein phool bichane ke liye.
Ishq Aisa Karo Ki Dhadkan Mein Bas Jaaye,
Saans Bhi Lo To Khushbu
Usi Ki Aaye,
Pyaar Ka Nasha Aankhon Pe Cha Jaaye,
Baat Kuch
Bhi Na Ho Par Naam Usi Ka Aaye.
Aaj mera har ek pal khoobsurat hai,
Dil mein sirf aapki hi surat
hai,
Kuch bhi kahe ye duniya hame gham nahi,
Duniya se jyada
hame ab teri jarurat hai.
Zindagi ki kitaab ke kuch panne hote hai,
Kuch apne, kuch begaane
hote hai,
Pyaar se sanwar jaati hai zindagi sabki,
Bas pyar se
rishte nibhane hote hai.
Waqt ke Saath Sab Kuch Badal Jata hai,
Har Yaad Dhundhali ho Jaati
hai,
Par Aapki Tasveer Dil mein Uss Jagah hai,
Jaha Saansein
bhi izazat lekar Jaati hai.
Nigaahon mein jabse tum rehne lagi ho,
Mere Dil mein ajib Umange
machalne lagi hai,
Jumkar Utar aayi Dil mein Bahaar,
Meri
Mohabbat bhi ab Muskurane lagi hai.
Ek anjana or ajab sa ehsaas ho tum,
kitni door ho phir bhi paas ho
tum,
dil lagane ko to bahut mile hume,
par unn sabme eklaute
khaas ho tum.
Kuch Lamhe Aur Uska Sath Chahta Tha,
Ankho Mein Thami Wo Barsat
Chahta Tha,
Janta Hu Bohat Chahti Thi Wo Magar,
Uski Zuban Se
ek dafa Izhaar Chahta tha.
Main khush hu ki mujhe mera pyaar mil gaya,
Kareeb ghar ke hi mujhe
mera Yaar mil gaya,
Karu na naaz kyon main apni kismat par,
Chand se bhi haseen mujh ko deedaar mil gaya.
Kacchi deewaar hu thokar na lagana mujhko,
Apni najro mein basakar
na girana mujhko,
Tumko aankhon mein tasveer ki tarah rakhta hu,
Dil mein dhadkan ki tarah tum bhi basana mujhko.
Tu iss kadar mujhe apne kareeb lagta hai,
Tujhe alag sochu to ajeeb
lagta hai,
Ye dosti ye chahate ye mohabat sab kya hai,
Tu to
mujzhe mera naseeb lagta hai.
Jab Dhadkano Ko Tham Leta Hai Koi,
Jab Khayalo Mein Naam Hamara Leta
Hai koi,
Yaade Tab aur Yaadgar Ban Jaati Hai,
Jab Hume Humse
Behtar Jaan Leta Hai Koi.
Post a Comment